Wednesday, May 23, 2012

kuch khayal jo alfaaz mangate he...

24 May 12

meri khamoshi kabhi bebas hoke bol padti he /
jis pal, kuch khayal mere mujhse alfaz mangate he...

shaaq pe baithe panchi mujhe, kabhi anjaane hi yaad dilate he /
unke dikhane se hi jab din tumhare haseen ho jaya karte the...

aisa hi kuch hota he jab chat par se ek jahaaz guzarta he /
tum bhi khidaki pe baithi use pehchanane me mashroof hogi, tab mujhe ye ehsaas hota he...

kal jab 'amanat' ka geet kaano pe pada tab bhi ek haseen si tees uthi dil me /
tumne jab usse vaakif karvaya tha, vo lamha hi nazaro ke samane beet raha ho jaise...

tumse hoti thi guf-t-guu, to hota tha kuch alag sa manjar dil me /
ab he mehroom vo tumhare bolo se, to yaadon se hi ise behla lete he...

he paya tumse itna ki, is janam me shayad na chuka paaunga he ilm mujhko /
tabhi tum pe beintiha mohabbat lutane ka iraada banaye baithe he...

tumhari chuppi ne sach maano, kaleja chalani mera kar diya kab ka /
jo aaj dhadakta he vo tumhari berukhi se pareshan rooh ka shor he...

he aeitbar ab mujhko bhi, ki tum shayad na hi apnaao mujh jaise deewane ko /
ek bar bas kuch jawab de dena, itni iltejaa karunga tumse...


- Vishal Rajendra Shinde

1 comment: